शनिवार, 1 दिसंबर 2007

jivan men ullas aur hulas

aao sahejen un anmol palon ko jo ghari-dar-ghari hamari zindagi ko jodti hai.
man ka hua to achcha man ka na hua to aur bhi achcha. jo man ka ho use bhi sajah karen aur jo man ka na ho use bhi.
pawan tiwari

4 टिप्‍पणियां:

Pawan ने कहा…

ek aziz ne prerit kiya tha naya blog banane ke liye..ahahulas naam se naya blog creat bhi kiya aur use bata bhi diya..usne kaha haan main kuch ibaarten garhoonga..phir shuru hoga batkahi ka silsila..per wo jivan ke bhanwar jaal me itna uljha reha ki thora sa waqt nahin nikal paya...main roj uske comments ki baatt johta raha..magar afsos..mujhe ummid hai ki ek din wo jayega apni jeb me 10-20 rupaye lekar cyber cafe..kholega blog aur likhega jhanjhawaaton ke beech koi gehari baat. abhi to usne mere liye daak se kucch lifafe bheje bheje hain, jisme hongi shayad uski rachi hui kucch kahaniyaan..jisme hogi uske man ki kasak..
uske bachpan ka gaon bhi hoga..bachpan se jawani tak uske ird-gird ghoomte paatra bhi honge kucch achche..kuch bure..

पंकज मिश्र ने कहा…

HAN IS HAWAI SANSAR MAIN KHUD KO FIT NAHIN KAR PATA HOIN. TUMHARE APNE HATHON SE LIKHKAR BHEJUNGA.
PANKAJ

Pawan ने कहा…

han mitra achcha rahega tumhare hath ke rache huye akshar jab meri aankhon ke saamne hote hain to lagta hai ki tum mere paas ho.

Pawan ने कहा…

ur most welcome Respected Proffesor Howdy..we r much pleased for your contribution..thanks a lot..